Sunday, July 26, 2015

Woh Kaun Hai



Jin rahon mein tere saath guzarne ki tamanna thi
Aaj un rahon se mein tanha guzar aayi hun

Charon taraf ek ajeeb sa sanatta hai
Ki hum khud se bhi baat na kar sake

Mein akeli tanha puchti hun
Woh kaun hai, jo in haseen manazir se pare,
Waqt ki giraftaar se bahar,
Mera intezaar kar raha hai !

Woh kaun hai
Woh kaun hai !



No comments:

Post a Comment